hum musalsal ek bayan dete hue
ham musalsal ik bayāñ dete hue
thak chuke haiñ imtihāñ dete hue
be-zabāñ alfāz kāġhaz par yahāñ
gūñgī yādoñ ko zabāñ dete hue
ho ga.e ġharqāb us kī aañkh meñ
ḳhvāhishoñ ko ham makāñ dete hue
phir ubhar aayā tirī yādoñ kā chāñd
ujlā ujlā sā dhuāñ dete hue
lutf jalne kā alag hai hijr meñ
zaḳhm mere imtihāñ dete hue
lā rahe haiñ niiñd ke āġhosh meñ
ashk mujh ko thapkiyāñ dete hue
ro paḌā thā jaane kyuuñ vo Dākiya
aaj mujh ko chiTThiyāñ dete hue
ik balā kā shor thā āñkhoñ meñ par
kah na paayā kuchh vo jaañ dete hue
fāsla itnā na rakhnā thā ḳhudā
is zamīñ ko āsmāñ dete hue
hum musalsal ek bayan dete hue
thak chuke hain imtihan dete hue
be-zaban alfaz kaghaz par yahan
gungi yaadon ko zaban dete hue
ho gae gharqab us ki aankh mein
KHwahishon ko hum makan dete hue
phir ubhar aaya teri yaadon ka chand
ujla ujla sa dhuan dete hue
lutf jalne ka alag hai hijr mein
zaKHm mere imtihan dete hue
la rahe hain nind ke aaghosh mein
ashk mujh ko thapkiyan dete hue
ro paDa tha jaane kyun wo Dakiya
aaj mujh ko chiTThiyan dete hue
ek bala ka shor tha aankhon mein par
kah na paya kuchh wo jaan dete hue
fasla itna na rakhna tha KHuda
is zamin ko aasman dete hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.