hum mue phirte hain aur KHwahish-e-jaan hai usko
ham muue phirte haiñ aur ḳhvāhish-e-jāñ hai us ko
ab talak bhī vahī jiine kā gumāñ hai us ko
ai dil afsurdagī-e-dāġh se kyuuñ hai tū malūl
jo gul is baaġh meñ aayā hai ḳhizāñ hai us ko
qissa-e-barhana-pā.ī ko mire ai majnūñ
ḳhaar se pūchh ki sab nok-e-zabāñ hai us ko
aage us gul ke na maarā kabhū ġhunche ne to dam
chāhe bulbul so kahe tāb-e-bayāñ hai us ko
ai falak bojh do aalam kā tū 'qā.em' pe na Daal
apnī hastī bhī kuchh in rozoñ garāñ hai us ko
kar ke he he ai nam-e-ashk tū rove mujh ko
aaj agar sail meñ ḳhuuñ ke na Dubove mujh ko
ḳhaak juuñ aa.ina milnā mujhe rakhtā hai shugūñ
tīra-tar huuñ maiñ jo paanī se to dhove mujh ko
fā.eda gul kā na mujh se hai na saa.e kī umiid
kah do dahqāñ se ki ba-hūda na bove mujh ko
garmī-e-nāla se maiñ aaj jalā jaatā huuñ
ko dam-e-sard ki aa kar vo samove mujh ko
saath hai sañg o sharar kā ye kaho us but se
kyā ho āġhosh meñ gar le ke vo sove mujh ko
na mulāqāt na ashfāq na va.ada na payām
kyūñki taskīn tire hijr meñ hove mujh ko
ḳhātam-e-dast-e-sulaimāñ se huuñ 'qā.em' maiñ aziiz
saḳht pachhtā.e vo jo haath se khove mujh ko
hum mue phirte hain aur KHwahish-e-jaan hai us ko
ab talak bhi wahi jine ka guman hai us ko
ai dil afsurdagi-e-dagh se kyun hai tu malul
jo gul is bagh mein aaya hai KHizan hai us ko
qissa-e-barhana-pai ko mere ai majnun
KHar se puchh ki sab nok-e-zaban hai us ko
aage us gul ke na mara kabhu ghunche ne to dam
chahe bulbul so kahe tab-e-bayan hai us ko
ai falak bojh do aalam ka tu 'qaem' pe na Dal
apni hasti bhi kuchh in rozon garan hai us ko
kar ke he he ai nam-e-ashk tu rowe mujh ko
aaj agar sail mein KHun ke na Dubowe mujh ko
KHak jun aaina milna mujhe rakhta hai shugun
tira-tar hun main jo pani se to dhowe mujh ko
faeda gul ka na mujh se hai na sae ki umid
kah do dahqan se ki ba-huda na bowe mujh ko
garmi-e-nala se main aaj jala jata hun
ko dam-e-sard ki aa kar wo samowe mujh ko
sath hai sang o sharar ka ye kaho us but se
kya ho aaghosh mein gar le ke wo sowe mujh ko
na mulaqat na ashfaq na wada na payam
kyunki taskin tere hijr mein howe mujh ko
KHatam-e-dast-e-sulaiman se hun 'qaem' main aziz
saKHt pachhtae wo jo hath se khowe mujh ko
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.