hum mund ke palken kabhi roya nahin karte
ham muuñd ke palkeñ kabhī royā nahīñ karte
āñkhoñ meñ jo aañsū ho to soyā nahīñ karte
har talḳh haqīqat ko uḌāte haiñ hañsī meñ
ham log kisī baat pe royā nahīñ karte
ik umr guzārī hai to ma.alūm huā hai
kashtī ko kināre pe Duboyā nahīñ karte
āñkhoñ se jo jhaḌte haiñ vo aañsū hī bahut haiñ
kaliyoñ kā to ham haar piroyā nahīñ karte
zebā.ish-e-dāmān-e-mohabbat hai isī se
lag jaa.e agar daaġh to dhoyā nahīñ karte
iz.hār-e-mohabbat kabhī us dushman-e-jāñ se
is tarah se karte haiñ ki goyā nahīñ karte
kho kar tumheñ ehsās huā mujh ko ye 'shahnāz'
yuuñ pā ke kisī dost ko khoyā nahīñ karte
hum mund ke palken kabhi roya nahin karte
aankhon mein jo aansu ho to soya nahin karte
har talKH haqiqat ko uDate hain hansi mein
hum log kisi baat pe roya nahin karte
ek umr guzari hai to malum hua hai
kashti ko kinare pe Duboya nahin karte
aankhon se jo jhaDte hain wo aansu hi bahut hain
kaliyon ka to hum haar piroya nahin karte
zebaish-e-daman-e-mohabbat hai isi se
lag jae agar dagh to dhoya nahin karte
izhaar-e-mohabbat kabhi us dushman-e-jaan se
is tarah se karte hain ki goya nahin karte
kho kar tumhein ehsas hua mujh ko ye 'shahnaz'
yun pa ke kisi dost ko khoya nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.