hum na bhulenge kabhi bhi aap ka ehsan ye

hum na bhulenge kabhi bhi aap ka ehsan ye
Taj Muhammad Siddiqui
MORE BYTaj Muhammad Siddiqui
ham na bhūleñge kabhī bhī aap kā ehsān ye
vaar deñge aap par sau baar apnī jaan ye
tum se pahle lag rahī thī yaar mushkil zindagī
mil ke tum se ho ga.ī hai zindagī āsān ye
saath tum jab tak the mere zindagī gulzār thī
zindagī to hai vahī par kitnī hai sunsān ye
aaj tak samjhā nahīñ maiñ chand ḳhushiyoñ ke liye
Thokareñ khātā rahegā kab talak insān ye
'umr-bhar na ḳhatm hoñgī aadmī kī ḳhvāhisheñ
'umr-bhar rahne na deñge chain se armān ye
log jāneñge miyāñ mujh ko mire ash'ār se
dekhnā ik din baneñgī shā'irī pahchān ye
hum na bhulenge kabhi bhi aap ka ehsan ye
war denge aap par sau bar apni jaan ye
tum se pahle lag rahi thi yar mushkil zindagi
mil ke tum se ho gai hai zindagi aasan ye
sath tum jab tak the mere zindagi gulzar thi
zindagi to hai wahi par kitni hai sunsan ye
aaj tak samjha nahin main chand KHushiyon ke liye
Thokaren khata rahega kab talak insan ye
'umr-bhar na KHatm hongi aadmi ki KHwahishen
'umr-bhar rahne na denge chain se arman ye
log jaanenge miyan mujh ko mere ash'ar se
dekhna ek din banengi sha'iri pahchan ye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.