hum na hote bhi to itna hote
ham na hote bhī to itnā hote
kahīñ dariyā kahīñ sahrā hote
jaane kyā ḳhud ko samajh rakkhā hai
ye jo hasrat hai ki rusvā hote
ham simaT jaate jo bāñhoñ meñ tirī
terī añgḌā.ī kā dariyā hote
tum se ulfat jo na hotī ham ko
jaane kis kis kī tamannā hote
siikh lī ham ne bhī duniyā-dārī
kaash ham sāhab-e-duniyā hote
dekh lete jo kahīñ ā.īna
ham bhī hairat kā sarāpā hote
hum na hote bhi to itna hote
kahin dariya kahin sahra hote
jaane kya KHud ko samajh rakkha hai
ye jo hasrat hai ki ruswa hote
hum simaT jate jo banhon mein teri
teri angDai ka dariya hote
tum se ulfat jo na hoti hum ko
jaane kis kis ki tamanna hote
sikh li hum ne bhi duniya-dari
kash hum sahab-e-duniya hote
dekh lete jo kahin aaina
hum bhi hairat ka sarapa hote
- Book : Meri Gazal (Pg. 93)
- Author : karar Noori
- Publication : Rooh-e-Asar (Ishaat Ghar) (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.