Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum na wahshat ke mare marte hain

Muntazir lakhnavi

hum na wahshat ke mare marte hain

Muntazir lakhnavi

MORE BYMuntazir lakhnavi

    ham na vahshat ke maare marte haiñ

    terī dahshat ke maare marte haiñ

    maar mat be-muravvatī se unheñ

    jo muravvat ke maare marte haiñ

    shikva kyā kiije shām-e-ġhurbat

    apnī shāmat ke maare marte haiñ

    kyā raqīboñ ko māriye vo aap

    sab raqābat ke maare marte haiñ

    yaar se duur haiñ vatan se judā

    is musībat ke maare marte haiñ

    saikḌoñ us se haiñge ham-āġhosh

    lākhoñ hasrat ke maare marte haiñ

    kuchh hamārī na pūchhiye sāhab

    ham to ġhairat ke maare marte haiñ

    hai ajab ziist 'muntazir' un

    jo ki ulfat ke maare marte haiñ

    hum na wahshat ke mare marte hain

    teri dahshat ke mare marte hain

    mar mat be-murawwati se unhen

    jo murawwat ke mare marte hain

    shikwa kya kije sham-e-ghurbat ka

    apni shamat ke mare marte hain

    kya raqibon ko mariye wo aap

    sab raqabat ke mare marte hain

    yar se dur hain watan se juda

    is musibat ke mare marte hain

    saikDon us se hainge ham-aghosh

    lakhon hasrat ke mare marte hain

    kuchh hamari na puchhiye sahab

    hum to ghairat ke mare marte hain

    hai ajab zist 'muntazir' un ki

    jo ki ulfat ke mare marte hain

    Source :
    • Book : Ghazal Usne Chhedi(2) (Pg. 142)
    • Author : Farhat Ehsas
    • Publication : Rekhta Books (2017)
    • Edition : 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now