hum nahin ahd-e-mulaqat se Talne wale
ham nahīñ ahd-e-mulāqāt se Talne vaale
aaj haiñ gesū-e-ḳhamdār sañvarne vaale
ab tirī diid kī ḳhātir ye mujhe lagtā hai
tere ushshāq haiñ aapas meñ ulajhne vaale
ik sitam ye ki adab se bhī lagan rakhte haiñ
merī ġhazloñ kī pazīrā.ī pe jalne vaale
maiñ ne chāhā thā karūñ baat koī maiñ lekin
mere ahbāb nahīñ baat nigalne vaale
reñg kar ā.eñge ye mere garebān talak
āstīnoñ meñ nahīñ naag ye palne vaale
jo tirā saath nibhāne kī qasam khāte haiñ
vo tire yaar haiñ va.adoñ se mukarne vaale
hum nahin ahd-e-mulaqat se Talne wale
aaj hain gesu-e-KHamdar sanwarne wale
ab teri did ki KHatir ye mujhe lagta hai
tere ushshaq hain aapas mein ulajhne wale
ek sitam ye ki adab se bhi lagan rakhte hain
meri ghazlon ki pazirai pe jalne wale
main ne chaha tha karun baat koi main lekin
mere ahbab nahin baat nigalne wale
reng kar aaenge ye mere gareban talak
aastinon mein nahin nag ye palne wale
jo tera sath nibhane ki qasam khate hain
wo tere yar hain wadon se mukarne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.