hum nahin chahte ki daulat ho
ham nahīñ chāhte ki daulat ho
kaun mamnūn-e-baḳht-o-qismat ho
āstīñ bhī nichoḌ Dāleñge
ashk ke pochhne se fursat ho
us pe kiije gumān shikve kā
baat karne kī jis meñ tāqat ho
muñh tirā dekhnā nasīb na ho
muñh se niklī agar shikāyat ho
tum sā 'nāzim' zahīn aur daanā
is tarah mubtalā-e-ulfat ho
hum nahin chahte ki daulat ho
kaun mamnun-e-baKHt-o-qismat ho
aastin bhi nichoD Dalenge
ashk ke pochhne se fursat ho
us pe kije guman shikwe ka
baat karne ki jis mein taqat ho
munh tera dekhna nasib na ho
munh se nikli agar shikayat ho
tum sa 'nazim' zahin aur dana
is tarah mubtala-e-ulfat ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.