ham-nashin jis ko samajhta tha sitamgar nikla
ham-nashīñ jis ko samajhtā thā sitamgar niklā
āstīñ meñ vo chhupā.e hue ḳhanjar niklā
ye bhī achchhā huā barsoñ kā bharam TuuT gayā
hiirā samjhā thā jise haa.e vo patthar niklā
tū to kahtā thā tire pyaar meñ rakkhā kyā hai
dil jo chīrā to mohabbat kā samundar niklā
maiñ to samjhā thā nahīñ hai koī armāñ baaqī
dil meñ jhāñkā to tamannāoñ kā lashkar niklā
kyoñ kisī aur pe ilzām lagā.ūñ bejā
dil mirā toḌne vaalā mirā dilbar niklā
yak-ba-yak hone lage zaḳhm hare siine ke
dard āñkhoñ se mire dil kā simaT kar niklā
ham-nashin jis ko samajhta tha sitamgar nikla
aastin mein wo chhupae hue KHanjar nikla
ye bhi achchha hua barson ka bharam TuT gaya
hira samjha tha jise hae wo patthar nikla
tu to kahta tha tere pyar mein rakkha kya hai
dil jo chira to mohabbat ka samundar nikla
main to samjha tha nahin hai koi arman baqi
dil mein jhanka to tamannaon ka lashkar nikla
kyon kisi aur pe ilzam lagaun beja
dil mera toDne wala mera dilbar nikla
yak-ba-yak hone lage zaKHm hare sine ke
dard aankhon se mere dil ka simaT kar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.