ham-nashin un ke taraf-dar bane baiThe hain
ham-nashīñ un ke taraf-dār bane baiThe haiñ
mere ġham-ḳhvār dil-āzār bane baiThe haiñ
baat kyā un se karūñ un ke uThā.ūñ kyūñ-kar
mudda.ī biich meñ dīvār bane baiThe haiñ
nā-tavānī ne udhar paañv pakaḌ rakkhe haiñ
vo nazākat se girāñ-bār bane baiThe haiñ
kyā burī shai hai mohabbat bhī ilāhī tauba
jurm-e-nā-karda ḳhatā-vār bane baiThe haiñ
bevafā.ī ke gile jin ke hue the kal tak
aaj duniyā ke vafādār bane baiThe haiñ
vo haiñ aur ġhair haiñ aur aish ke sāmān 'zahīr'
ham alag sab se gunahgār bane baiThe haiñ
ham-nashin un ke taraf-dar bane baiThe hain
mere gham-KHwar dil-azar bane baiThe hain
baat kya un se karun un ke uThaun kyun-kar
muddai bich mein diwar bane baiThe hain
na-tawani ne udhar panw pakaD rakkhe hain
wo nazakat se giran-bar bane baiThe hain
kya buri shai hai mohabbat bhi ilahi tauba
jurm-e-na-karda KHata-war bane baiThe hain
bewafai ke gile jin ke hue the kal tak
aaj duniya ke wafadar bane baiThe hain
wo hain aur ghair hain aur aish ke saman 'zahir'
hum alag sab se gunahgar bane baiThe hain
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 200)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.