ham-nashīnoñ meñ hamārā ham-navā koī nahīñ
āshnā to haiñ bahut dard-āshnā koī nahīñ
ai masīhā maut se kar zindagānī kā ilaaj
ho rahe vo ġhair ke ab aasrā koī nahīñ
but-kade se chhūT kar aisā hue be-ḳhānumāñ
jaise zer-e-āsmāñ merā ḳhudā koī nahīñ
ḳhud-numā.ī meñ bhī vo mahbūb hai mastūr hai
dekhte haiñ sab magar pahchāntā koī nahīñ
burrish-e-teġh-e-adā-e-dost kā ehsās hai
ab rahīn-e-minnat-e-tīr-e-qazā koī nahīñ
hai tirī mashq-e-sitam kā rañg agar yūñhī to phir
dekhā lenā ek din tere sivā koī nahīñ
pūchhte haiñ mudda.ā mujh se adū ke sāmne
mudda.ā ye hai ki kah duuñ mudda.ā koī nahīñ
bā-vafā itnī jafā par kaun hai mere sivā
tujh se baḌh kar bad-gumāñ ai bevafā koī nahīñ
baḌh gayā hai aaj kal jaur-e-butāñ kuchh is qadar
dast-gīr-e-bandagāñ goyaa... ḳhudā koī nahīñ
le ke bār-e-zindagī kab tak koī phirtā rahe
rāhzan hī luuT le jab rahnumā koī nahīñ
jaan kar 'beḳhud' huā ḳhud dushman apnī jaan kā
phir gilā kyuuñ dostoñ se hai mirā koī nahīñ
ham-nashinon mein hamara ham-nawa koi nahin
aashna to hain bahut dard-ashna koi nahin
ai masiha maut se kar zindagani ka ilaj
ho rahe wo ghair ke ab aasra koi nahin
but-kade se chhuT kar aisa hue be-KHanuman
jaise zer-e-asman mera KHuda koi nahin
KHud-numai mein bhi wo mahbub hai mastur hai
dekhte hain sab magar pahchanta koi nahin
burrish-e-tegh-e-ada-e-dost ka ehsas hai
ab rahin-e-minnat-e-tir-e-qaza koi nahin
hai teri mashq-e-sitam ka rang agar yunhi to phir
dekha lena ek din tere siwa koi nahin
puchhte hain muddaa mujh se adu ke samne
muddaa ye hai ki kah dun muddaa koi nahin
ba-wafa itni jafa par kaun hai mere siwa
tujh se baDh kar bad-guman ai bewafa koi nahin
baDh gaya hai aaj kal jaur-e-butan kuchh is qadar
dast-gir-e-bandagan goya KHuda koi nahin
le ke bar-e-zindagi kab tak koi phirta rahe
rahzan hi luT le jab rahnuma koi nahin
jaan kar 'beKHud' hua KHud dushman apni jaan ka
phir gila kyun doston se hai mera koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.