ham-navā miltā to āvāz kā saudā karte
ham kahāñ aa ga.e parchhā.īñ kā pīchhā karte
rang-o-bū zehn kī dīvār bane haiñ varna
terī tasvīr banāte tirī puujā karte
din se din hote na ye raat sī rāteñ hotīñ
kisī hamdard se jo dard kā rishta karte
koī ġham paañv kī zanjīr kahāñ tak hogā
jogiyā pahn ke bāzār meñ ghūmā karte
ye bhī kyā kam hai tire naam pe jiite haiñ abhī
hoñT jal jaate agar ham koī shikva karte
koī khanDar koī girtī huī dīvār sahī
kaT ga.ī umr yahāñ jism ko saaya karte
ham-nawa milta to aawaz ka sauda karte
hum kahan aa gae parchhain ka pichha karte
rang-o-bu zehn ki diwar bane hain warna
teri taswir banate teri puja karte
din se din hote na ye raat si raaten hotin
kisi hamdard se jo dard ka rishta karte
koi gham panw ki zanjir kahan tak hoga
jogiya pahn ke bazar mein ghuma karte
ye bhi kya kam hai tere nam pe jite hain abhi
honT jal jate agar hum koi shikwa karte
koi khanDar koi girti hui diwar sahi
kaT gai umr yahan jism ko saya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.