humne aankhon mein nahin dil mein sajaya tumko

humne aankhon mein nahin dil mein sajaya tumko
Hosh Nomani Rampuri
MORE BYHosh Nomani Rampuri
ham ne āñkhoñ meñ nahīñ dil meñ sajāyā tum ko
sang-ḳhānoñ meñ banāyā na tamāsha tum ko
jism to ḳhaak hai aur ḳhaak meñ mil jā.egā
maiñ bahar-hāl kitāboñ meñ milūñgā tum ko
ek ik daur meñ sau ruup badal kar dekhā
ab ke paayā bhī to aisā ki na paayā tum ko
barf ke jismoñ pe kyā ThanDī havāoñ kā asar
ban ke rahnā hai yahāñ aag kā sho'la tum ko
ḳhair ab to mirī āñkheñ haiñ tumhārī āñkheñ
haañ mire baa'd nazar aa.egī duniyā tum ko
hum ne aankhon mein nahin dil mein sajaya tum ko
sang-KHanon mein banaya na tamasha tum ko
jism to KHak hai aur KHak mein mil jaega
main bahar-haal kitabon mein milunga tum ko
ek ek daur mein sau rup badal kar dekha
ab ke paya bhi to aisa ki na paya tum ko
barf ke jismon pe kya ThanDi hawaon ka asar
ban ke rahna hai yahan aag ka sho'la tum ko
KHair ab to meri aankhen hain tumhaari aankhen
han mere ba'd nazar aaegi duniya tum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.