humne aap ke gham ko ham-safar banaya hai
ham ne aap ke ġham ko ham-safar banāyā hai
ya.anī zindagānī ko mo'atabar banāyā hai
har ġham-e-zamāna ko dil meñ dī jagah ham ne
ḳhuub jo milā us ko ḳhūb-tar banāyā hai
iiñT aur patthar kā ghar nahīñ milā to kyā
dushmanoñ ke dil meñ bhī ham ne ghar banāyā hai
ehtiyāt sīkhī hai be-usūl logoñ se
ham ko chand andhoñ ne dīda-var banāyā hai
ziist ke gharauñde ko ham ne apne hāthoñ se
umr bhar bigāḌā hai umr bhar banāyā hai
hum ne aap ke gham ko ham-safar banaya hai
yani zindagani ko mo'atabar banaya hai
har gham-e-zamana ko dil mein di jagah hum ne
KHub jo mila us ko KHub-tar banaya hai
inT aur patthar ka ghar nahin mila to kya
dushmanon ke dil mein bhi hum ne ghar banaya hai
ehtiyat sikhi hai be-usul logon se
hum ko chand andhon ne dida-war banaya hai
zist ke gharaunde ko hum ne apne hathon se
umr bhar bigaDa hai umr bhar banaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.