humne apne aap se jab baat ki
ham ne apne aap se jab baat kī
aa ga.ī raste meñ ik dīvār sī
apne darvāze pe dastak de koī
ek sannāTe pe duniyā kho ga.ī
kaun se nuqte pe lā kar toḌte
umr-e-rafta terī yādoñ kī kaḌī
'dard' apnā ham ta.āruf deñ to kyā
ham to apne aap se haiñ ajnabī
hum ne apne aap se jab baat ki
aa gai raste mein ek diwar si
apne darwaze pe dastak de koi
ek sannaTe pe duniya kho gai
kaun se nuqte pe la kar toDte
umr-e-rafta teri yaadon ki kaDi
'dard' apna hum taaruf den to kya
hum to apne aap se hain ajnabi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.