humne apne dil ko pesh-e-ru-e-jaanan kar diya
humne apne dil ko pesh-e-ru-e-jaanan kar diya
Meer Shamsuddeen Faiz
MORE BYMeer Shamsuddeen Faiz
ham ne apne dil ko pesh-e-rū-e-jānāñ kar diyā
ā.īna ko ā.īna dikhlā ke hairāñ kar diyā
apnī parchhā.īñ se kosoñ bhāgtā huuñ in dinoñ
mujh ko vahshat ne zamāne se gurezāñ kar diyā
yak jahāñ maarā gayā ishq-e-lab-e-jāñ-baḳhsh meñ
tum ne aalam ko ġharīq-e-āb-e-haivāñ kar diyā
ham ne chand aurāq-e-vasf-e-gul meñ likkhe the kahīñ
naam un kā shaiḳh 'sādī' ne gulistāñ kar diyā
hum ne apne dil ko pesh-e-ru-e-jaanan kar diya
aaina ko aaina dikhla ke hairan kar diya
apni parchhain se koson bhagta hun in dinon
mujh ko wahshat ne zamane se gurezan kar diya
yak jahan mara gaya ishq-e-lab-e-jaan-baKHsh mein
tum ne aalam ko ghariq-e-ab-e-haiwan kar diya
hum ne chand auraq-e-wasf-e-gul mein likkhe the kahin
nam un ka shaiKH 'sadi' ne gulistan kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.