humne buDhon se ye suni hai miyan
ham ne būḌhoñ se ye sunī hai miyāñ
baat vo hai jo an-kahī hai miyāñ
apnī sāñseñ bhī apne bas meñ nahīñ
zindagī ḳhaak zindagī hai miyāñ
jis ke tan par libās tak bhī nahīñ
vo bhī kyā koī aadmī hai miyāñ
mere alfāz likh ke tum rakh lo
abhī āvāz dab rahī hai miyāñ
tum nahīñ bolte to yūñhī sahī
ham ne bhī chup kī saadh lī hai miyāñ
hum ne buDhon se ye suni hai miyan
baat wo hai jo an-kahi hai miyan
apni sansen bhi apne bas mein nahin
zindagi KHak zindagi hai miyan
jis ke tan par libas tak bhi nahin
wo bhi kya koi aadmi hai miyan
mere alfaz likh ke tum rakh lo
abhi aawaz dab rahi hai miyan
tum nahin bolte to yunhi sahi
hum ne bhi chup ki sadh li hai miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.