humne dekhe ajab ajab gunge
ham ne dekhe ajab ajab gūñge
thī zabāñ to magar the sab gūñge
kar shikāyat na be-zabānoñ kī
nutq vaale hue haiñ jab gūñge
hashr barpā hai biich dariyā meñ
donoñ sāhil haiñ lab-ba-lab gūñge
ye ināyat hai ahd-e-hāzir kī
silsila-hā-e-roz-o-shab gūñge
be-adab hoñ zabāñ-darāz agar
ho hī jaate haiñ bā-adab gūñge
zūd-goī meñ jo hue badnām
ban ke baiThe hue haiñ ab gūñge
un ko paanī koī nahīñ detā
jo bhī 'nādim' haiñ tishna-lab gūñge
hum ne dekhe ajab ajab gunge
thi zaban to magar the sab gunge
kar shikayat na be-zabanon ki
nutq wale hue hain jab gunge
hashr barpa hai bich dariya mein
donon sahil hain lab-ba-lab gunge
ye inayat hai ahd-e-hazir ki
silsila-ha-e-roz-o-shab gunge
be-adab hon zaban-daraaz agar
ho hi jate hain ba-adab gunge
zud-goi mein jo hue badnam
ban ke baiThe hue hain ab gunge
un ko pani koi nahin deta
jo bhi 'nadim' hain tishna-lab gunge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.