Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humne ghaTta-baDhta saya pag-pag chal kar dekha hai

Vishvanath Dard

humne ghaTta-baDhta saya pag-pag chal kar dekha hai

Vishvanath Dard

MORE BYVishvanath Dard

    ham ne ghaTtā-baḌhtā saayā pag-pag chal kar dekhā hai

    har raahī ik dhundlā-pan hai har jaada ik dhokā hai

    ham bhī kisī lamhe uñglī thaam ke ik din chal deñge

    ne to ai jaane vaale jaane ko kyā jaanā hai

    maazī be-nām guphā meñ baiThe baiThe sochte haiñ

    nagar-nagar hai shohrat apnī ghar-ghar apnā charchā hai

    ham tum donoñ dost purāne sadiyoñ majbūrī ke

    is se baḌh kar tum bolo aur bhī koī rishta hai

    aate jaate har raahī se pūchh rahā huuñ barsoñ se

    naam hamārā le kar tum se haal kisī ne pūchhā hai

    ḳhud ko paane chintā ne gyaan jagāyā duurī

    ghar apnā hai shahr parāyā biich meñ lambā rastā hai

    hum ne ghaTta-baDhta saya pag-pag chal kar dekha hai

    har rahi ek dhundla-pan hai har jada ek dhoka hai

    hum bhi kisi lamhe ki ungli tham ke ek din chal denge

    tu ne to ai jaane wale jaane ko kya jaana hai

    mazi ki be-nam gupha mein baiThe baiThe sochte hain

    nagar-nagar hai shohrat apni ghar-ghar apna charcha hai

    hum tum donon dost purane sadiyon ki majburi ke

    is se baDh kar tum hi bolo aur bhi koi rishta hai

    aate jate har rahi se puchh raha hun barson se

    nam hamara le kar tum se haal kisi ne puchha hai

    KHud ko pane ki chinta ne gyan jagaya duri ka

    ghar apna hai shahr paraya bich mein lamba rasta hai

    Source :
    • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 371)
    • Author : Aziz Nabeel
    • Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
    • Edition : 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now