humne hans kar fareb khae hain
ham ne hañs kar fareb khaa.e haiñ
ham pe dushvāriyoñ ke saa.e haiñ
ab to ham zindagī se jā bhī chuke
aap ab ham se milne aa.e haiñ
jo mire saath saath rahte the
ab mire shahr se parā.e haiñ
nāḳhunoñ se khurach ke tere nuqūsh
apnī taqdīr se miTā.e haiñ
koī poshīda qahqaha to nahīñ
aap ne daañt kyoñ dabā.e haiñ
manzileñ aap kā muqaddar haiñ
merī rah meñ ka.ī sarā.e haiñ
hameñ turbat pe chheḌne mat aa
dil ke armān ab sulā.e haiñ
hum ne hans kar fareb khae hain
hum pe dushwariyon ke sae hain
ab to hum zindagi se ja bhi chuke
aap ab hum se milne aae hain
jo mere sath sath rahte the
ab mere shahr se parae hain
naKHunon se khurach ke tere nuqush
apni taqdir se miTae hain
koi poshida qahqaha to nahin
aap ne dant kyon dabae hain
manzilen aap ka muqaddar hain
meri rah mein kai sarae hain
hamein turbat pe chheDne mat aa
dil ke arman ab sulae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.