humne ek umr mein kya kya na jahan dekhe hain
Interesting Fact
November 1991
ham ne ik umr meñ kyā kyā na jahāñ dekhe haiñ
āsmāñ dekhe haiñ aur qa.ar-e-nihāñ dekhe haiñ
jin kī bātoñ meñ tajallī thī ḳhamoshī meñ tilism
vahī arbāb-e-hunar soḳhta-jāñ dekhe haiñ
naġhma-o-sher-o-zabāñ ahl-e-siyāsat ke qatīl
puurī tahzīb ke miTne ke nishāñ dekhe haiñ
iqitdār-o-havas-o-shor-o-munāfiq-nazarī
jin kā sheva rahā vo pīr-e-muġhāñ dekhe haiñ
jins-e-arzāñ kī tarah bikte hue ahl-e-qalam
ishtihāroñ meñ saje gul-badnāñ dekhe haiñ
jin se tārīḳh ke safhāt bhī jaag uThte the
vo zamāne vo fasāne guzarāñ dekhe haiñ
vo hikāyāt raqam kiiñ ki qalam ḳhuuñ royā
har rag-e-tāk pe zaḳhmoñ ke vahāñ dekhe haiñ
ek ik harf se raushan hue jaate the ufuq
aa.ine sehr-e-dabistāñ meñ nihāñ dekhe haiñ
jin kī jādū-asarī tāna-e-ahabāb banī
vo tilismāt likhe harf-o-bayāñ dekhe haiñ
jin kī ta.abīr meñ ik umr gañvā dī ham ne
raaz vo sīna-e-gītī meñ nihāñ dekhe haiñ
jalte bām-o-dar-o-dīvār sulagte hue shahr
jin se pathrā ga.iiñ āñkheñ vo samāñ dekhe haiñ
āsmāñ-gīr the sho.ale ḳhas-o-ḳhāshāk the jism
qaid-e-be-jurm meñ sab pīr-o-javāñ dekhe haiñ
dil ne har zarra ke hamrāh dhḌaknā sīkhā
tab navāoñ meñ ye ma.anī ke jahāñ dekhe haiñ
hum ne ek umr mein kya kya na jahan dekhe hain
aasman dekhe hain aur qar-e-nihan dekhe hain
jin ki baaton mein tajalli thi KHamoshi mein tilism
wahi arbab-e-hunar soKHta-jaan dekhe hain
naghma-o-sher-o-zaban ahl-e-siyasat ke qatil
puri tahzib ke miTne ke nishan dekhe hain
iqitdar-o-hawas-o-shor-o-munafiq-nazari
jin ka shewa raha wo pir-e-mughan dekhe hain
jins-e-arzan ki tarah bikte hue ahl-e-qalam
ishtihaaron mein saje gul-badnan dekhe hain
jin se tariKH ke safhat bhi jag uThte the
wo zamane wo fasane guzaran dekhe hain
wo hikayat raqam kin ki qalam KHun roya
har rag-e-tak pe zaKHmon ke wahan dekhe hain
ek ek harf se raushan hue jate the ufuq
aaine sehr-e-dabistan mein nihan dekhe hain
jin ki jadu-asari tana-e-ahabab bani
wo tilismat likhe harf-o-bayan dekhe hain
jin ki tabir mein ek umr ganwa di hum ne
raaz wo sina-e-giti mein nihan dekhe hain
jalte baam-o-dar-o-diwar sulagte hue shahr
jin se pathra gain aankhen wo saman dekhe hain
aasman-gir the shoale KHas-o-KHashak the jism
qaid-e-be-jurm mein sab pir-o-jawan dekhe hain
dil ne har zarra ke hamrah dhDakna sikha
tab nawaon mein ye mani ke jahan dekhe hain
- Book : Aatish Zeer-e-paa (Pg. 132)
- Author : Sajidah Zaidi
- Publication : Sajidah Zaidi, Aligarah (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.