humne jaez sharab kar Dali
ham ne jaa.ez sharāb kar Daalī
zindagānī ḳharāb kar Daalī
dhajjī dhajjī ḳhud apne maz.hab kī
ham ne aalī janāb kar Daalī
sirf duniyā hī tak nahīñ mahdūd
āqibat tak ḳharāb kar Daalī
koī chehra nazar nahīñ aatā
koshish-e-be-hisāb kar Daalī
aql-mandoñ ne zid meñ qudrat se
kul zamīñ zer-e-āb kar Daalī
kuchh samajh meñ na aap ke aaya
ḳhatm saarī kitāb kar Daalī
kyā qayāmat hai pīr-o-murshid ne
kufr mastī savāb kar Daalī
bas ke 'āsī' ye vaqt-e-tauba hai
aarzū be-hisāb kar Daalī
hum ne jaez sharab kar Dali
zindagani KHarab kar Dali
dhajji dhajji KHud apne mazhab ki
hum ne aali janab kar Dali
sirf duniya hi tak nahin mahdud
aaqibat tak KHarab kar Dali
koi chehra nazar nahin aata
koshish-e-be-hisab kar Dali
aql-mandon ne zid mein qudrat se
kul zamin zer-e-ab kar Dali
kuchh samajh mein na aap ke aaya
KHatm sari kitab kar Dali
kya qayamat hai pir-o-murshid ne
kufr masti sawab kar Dali
bas ke 'asi' ye waqt-e-tauba hai
aarzu be-hisab kar Dali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.