humne jis ke liye phulon ke jahan chhoDe hain
ham ne jis ke liye phūloñ ke jahāñ chhoḌe haiñ
us ne is dil meñ faqat zaḳhm-e-nihāñ chhoḌe haiñ
ham ne ḳhud apne usūloñ kī hifāzat ke liye
daulateñ chhoḌ diiñ shohrat kī jahāñ chhoḌe haiñ
zindagī ham ne tirā saath nibhāne ke liye
tapte sahrā meñ bhī qadmoñ ke nishāñ chhoḌe haiñ
ham kisī aur ke ho jaa.eñ kisī ko chāheñ
aise asbāb magar us ne kahāñ chhoḌe haiñ
jis kī parchhā.ī liye phirtī haiñ āñkheñ merī
us ne palkoñ pe mirī āb-e-ravāñ chhoḌe haiñ
hum ne jis ke liye phulon ke jahan chhoDe hain
us ne is dil mein faqat zaKHm-e-nihan chhoDe hain
hum ne KHud apne usulon ki hifazat ke liye
daulaten chhoD din shohrat ki jahan chhoDe hain
zindagi hum ne tera sath nibhane ke liye
tapte sahra mein bhi qadmon ke nishan chhoDe hain
hum kisi aur ke ho jaen kisi ko chahen
aise asbab magar us ne kahan chhoDe hain
jis ki parchhai liye phirti hain aankhen meri
us ne palkon pe meri aab-e-rawan chhoDe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.