ham ne jis naam ko luġhat samjhā
aap ne lafz-e-dastaḳhat samjhā
mujh ko mat merī hī sifat samjhā
maiñ tirā man huuñ itnā mat samjhā
merī aadat the tum ne lat samjhā
haa.e samjhā magar ġhalat samjhā
laal ḳhuuñ bhī hai ḳhūn-e-jām bhī jaan
apnī āñkhoñ kī asliyat samjhā
ishq karnā munāfiqat hai dost
gar nahīñ to salāhiyat samjhā
lafz-e-'tū' se hī thī mayassar jo
ziist ko ham ne kaifiyat samjhā
hum ne jis nam ko lughat samjha
aap ne lafz-e-dastaKHat samjha
mujh ko mat meri hi sifat samjha
main tera man hun itna mat samjha
meri aadat the tum ne lat samjha
hae samjha magar ghalat samjha
lal KHun bhi hai KHun-e-jam bhi jaan
apni aankhon ki asliyat samjha
ishq karna munafiqat hai dost
gar nahin to salahiyat samjha
lafz-e-'tu' se hi thi mayassar jo
zist ko hum ne kaifiyat samjha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.