humne jo dip jalae hain teri galiyon mein
ham ne jo diip jalā.e haiñ tirī galiyoñ meñ
apne kuchh ḳhvāb sajā.e haiñ tirī galiyoñ meñ
jaane ye ishq hai yā koī karāmat apnī
chāñd le kar chale aa.e haiñ tirī galiyoñ meñ
tazkira ho tirī galiyoñ kā to Dar jaatā hai
dil ne vo zaḳhm uThā.e haiñ tirī galiyoñ meñ
is liye bhī tirī galiyoñ se hameñ nafrat hai
ham ne armān gañvā.e haiñ tirī galiyoñ meñ
kyuuñ har ik chiiz adhūrī sī hameñ lagtī hai
jaane kyā chhoḌ ke aa.eñ haiñ tirī galiyoñ meñ
hum ne jo dip jalae hain teri galiyon mein
apne kuchh KHwab sajae hain teri galiyon mein
jaane ye ishq hai ya koi karamat apni
chand le kar chale aae hain teri galiyon mein
tazkira ho teri galiyon ka to Dar jata hai
dil ne wo zaKHm uThae hain teri galiyon mein
is liye bhi teri galiyon se hamein nafrat hai
hum ne arman ganwae hain teri galiyon mein
kyun har ek chiz adhuri si hamein lagti hai
jaane kya chhoD ke aaen hain teri galiyon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.