humne kabhi socha hi nahin tha aisa amal aghyar karenge
ham ne kabhī sochā hī nahīñ thā aisā amal aġhyār kareñge
jiinā bhī dushvār kareñge marnā bhī dushvār kareñge
aisī tavaqqo un se kab thī aisā kab sochā thā ham ne
ham ko hī rakkheñge pyāsā auroñ ko sarshār kareñge
apne dil kī tum se kah kar man ko halkā kar lete haiñ
tum na sunoge baat hamārī ham kis se iz.hār kareñge
azm-e-musammam le kar dil meñ aaj ye ham ne ahd kiyā hai
ġhaflat meñ jo ḳhvābīda haiñ ham un ko bedār kareñge
fikr-e-nasheman ham nahīñ karte ham karte haiñ fikr-e-gulistāñ
sab ke dukh meñ kaam ā.eñge sab kī nayyā paar kareñge
is duniyā ko chhoḌ ke ik din aage pīchhe jaanā hogā
rah ke kyā majbūr kareñge rah ke kyā muḳhtār kareñge
baḳhshī hai allāh ne ham ko ilm kī daulat quvvat-e-īmāñ
dekhnā ik din haq kī ḳhātir ham bātil par vaar kareñge
aap se hai had darja mohabbat aap ke ham haiñ aap hamāre
aap kā zikr-e-ḳhair hamesha ek nahīñ sau baar kareñge
haal meñ dukh hai 'yās' agarche mustaqbil meñ ḳhushiyāñ hoñgī
vo dete haiñ ġham dene do ham bhī ġham se pyaar kareñge
hum ne kabhi socha hi nahin tha aisa amal aghyar karenge
jina bhi dushwar karenge marna bhi dushwar karenge
aisi tawaqqo un se kab thi aisa kab socha tha hum ne
hum ko hi rakkhenge pyasa auron ko sarshaar karenge
apne dil ki tum se kah kar man ko halka kar lete hain
tum na sunoge baat hamari hum kis se izhaar karenge
azm-e-musammam le kar dil mein aaj ye hum ne ahd kiya hai
ghaflat mein jo KHwabida hain hum un ko bedar karenge
fikr-e-nasheman hum nahin karte hum karte hain fikr-e-gulistan
sab ke dukh mein kaam aaenge sab ki nayya par karenge
is duniya ko chhoD ke ek din aage pichhe jaana hoga
rah ke kya majbur karenge rah ke kya muKHtar karenge
baKHshi hai allah ne hum ko ilm ki daulat quwwat-e-iman
dekhna ek din haq ki KHatir hum baatil par war karenge
aap se hai had darja mohabbat aap ke hum hain aap hamare
aap ka zikr-e-KHair hamesha ek nahin sau bar karenge
haal mein dukh hai 'yas' agarche mustaqbil mein KHushiyan hongi
wo dete hain gham dene do hum bhi gham se pyar karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.