humne kaha ki aashiqi-e-sim-o-zar ghalat
ham ne kahā ki āshiqī-e-sīm-o-zar ġhalat
us ne kahā ye baat nahīñ hai magar ġhalat
hotā ye sar-nigūñ kisī dar par to Thiik thā
rakkhā huā hai dosh par apne ye sar ġhalat
āḳhir khulā ye ham pe ma.āl-e-suḳhanvarī
apnā liyā hai ham ne jahāñ meñ hunar ġhalat
liije ḳhatā phir aaj vahī ham se ho ga.ī
phir kah ga.e ġhalat ko baġhair-e-ḳhatar ġhalat
vaañ hai ġhurūr-e-husn sarāpā yahāñ anā
har vasf us taraf to bajā hai idhar ġhalat
vo aur zulm-o-jaur pe maa.il ḳhabar durust
ham aur tark-e-ishq uḌī hai ḳhabar ġhalat
phir aaj un ke dar pe na sar jhuk sakā 'shahāb'
ye kaam ham se ho gayā bār-e-digar ġhalat
hum ne kaha ki aashiqi-e-sim-o-zar ghalat
us ne kaha ye baat nahin hai magar ghalat
hota ye sar-nigun kisi dar par to Thik tha
rakkha hua hai dosh par apne ye sar ghalat
aaKHir khula ye hum pe maal-e-suKHanwari
apna liya hai hum ne jahan mein hunar ghalat
lije KHata phir aaj wahi hum se ho gai
phir kah gae ghalat ko baghair-e-KHatar ghalat
wan hai ghurur-e-husn sarapa yahan ana
har wasf us taraf to baja hai idhar ghalat
wo aur zulm-o-jaur pe mail KHabar durust
hum aur tark-e-ishq uDi hai KHabar ghalat
phir aaj un ke dar pe na sar jhuk saka 'shahab'
ye kaam hum se ho gaya bar-e-digar ghalat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.