humne kahne ko tumhein dil se bhulaya hua hai
ham ne kahne ko tumheñ dil se bhulāyā huā hai
bas yahī daaġh hai siine meñ chhupāyā huā hai
ab giregī bhī to kaise ki bahut sabr ke saath
ham ne dīvār ko hāthoñ se banāyā huā hai
baat karne ko bahut der se sochā us se
jis kī tahrīr ko āñkhoñ meñ basāyā huā hai
chashm-e-be-aib meñ us kā hī sarāpā kyuuñ thā
jis kā ġham hadd-e-tamannā meñ samāyā huā hai
ḳhvāhish-e-qurb ke paivand haiñ hāthoñ meñ mire
ai junūñ-zād mujhe kitnā satāyā huā hai
koī kahtā hai rifāqat nahīñ milne vaalī
koī kahtā hai vo dahlīz pe aayā huā hai
vasl kī shaam kā andāza bahut mushkil thā
ham ne pūchhā thā magar us ne chhupāyā huā hai
hum ne kahne ko tumhein dil se bhulaya hua hai
bas yahi dagh hai sine mein chhupaya hua hai
ab giregi bhi to kaise ki bahut sabr ke sath
hum ne diwar ko hathon se banaya hua hai
baat karne ko bahut der se socha us se
jis ki tahrir ko aankhon mein basaya hua hai
chashm-e-be-aib mein us ka hi sarapa kyun tha
jis ka gham hadd-e-tamanna mein samaya hua hai
KHwahish-e-qurb ke paiwand hain hathon mein mere
ai junun-zad mujhe kitna sataya hua hai
koi kahta hai rifaqat nahin milne wali
koi kahta hai wo dahliz pe aaya hua hai
wasl ki sham ka andaza bahut mushkil tha
hum ne puchha tha magar us ne chhupaya hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.