humne KHatra mol liya nadani mein
ham ne ḳhatra mol liyā nādānī meñ
ḳhud ko chhoḌā apnī hī nigarānī meñ
apne zo.am meñ kitne sūraj Duub ga.e
ghar se chale the aag lagāne paanī meñ
us ko puujā jis kā honā bhī mashkūk
ek zāviya ye bhī hai hairānī meñ
shāyad ye bastī bhī ab bik jā.egī
aa.ī yahāñ bhī tel kī ḳhushbū paanī meñ
jamā huā thā un āñkhoñ meñ ek savāl
kis ne milāyā zahr mirī guḌ-dhānī meñ
hum ne KHatra mol liya nadani mein
KHud ko chhoDa apni hi nigarani mein
apne zoam mein kitne suraj Dub gae
ghar se chale the aag lagane pani mein
us ko puja jis ka hona bhi mashkuk
ek zawiya ye bhi hai hairani mein
shayad ye basti bhi ab bik jaegi
aai yahan bhi tel ki KHushbu pani mein
jama hua tha un aankhon mein ek sawal
kis ne milaya zahr meri guD-dhani mein
- Book : Namak (Pg. 66)
- Author : Subodh Saaqi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.