humne KHayal-e-saKHti-e-jada nahin kiya
ham ne ḳhayāl-e-saḳhtī-e-jāda nahīñ kiyā
tark-e-safar kā koī irāda nahīñ kiyā
ushshāq-e-ahd-e-nau ne sar-e-rāhguzār-e-shauq
gard-e-safar ko tan kā labāda nahīñ kiyā
ham ne bhī lauT aane meñ tāḳhīr kī bahut
us ne bhī intizār ziyāda nahīñ kiyā
ham haiñ ġham-e-firāq ke hurmat-shanās log
ġham ko supurd-e-sāġhar-o-bāda nahīñ kiyā
tere sivā bhī koī dar-e-jāñ pe aa sake
itnā bhī ham ne dil ko kushāda nahīñ kiyā
hum ne KHayal-e-saKHti-e-jada nahin kiya
tark-e-safar ka koi irada nahin kiya
ushshaq-e-ahd-e-nau ne sar-e-rahguzar-e-shauq
gard-e-safar ko tan ka labaada nahin kiya
hum ne bhi lauT aane mein taKHir ki bahut
us ne bhi intizar ziyaada nahin kiya
hum hain gham-e-firaq ke hurmat-shanas log
gham ko supurd-e-saghar-o-baada nahin kiya
tere siwa bhi koi dar-e-jaan pe aa sake
itna bhi hum ne dil ko kushada nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.