humne likhi hai lahu se dastan to kya hua
ham ne likhī hai lahū se dāstāñ to kyā huā
is pe hairāñ gar nahīñ kaun-o-makāñ to kyā huā
saath baabā ke khilaune lene ghar se thā chalā
koī e.azāz-e-yatīmī jo de vaañ to kyā huā
log kahte the ki aise ġham meñ ye bhī rote haiñ
jo nahīñ ro.e zamīn-o-āsmāñ to kyā huā
mere baabā merī ammāñ merī aapī ke sivā
hai milā insāf bhī mujh ko yahāñ to kyā huā
chashm-e-girya ashkoñ kā sailāb to ab tham chukā
baad phir haiñ lekin ab dariyā ravāñ to kyā huā
ik zamāna thā ki bol uThte the aksar be-zabāñ
bolne qābil nahīñ ahl-e-zabāñ to kyā huā
merī duniyā meñ lagī jo aag to sab jal gayā
raakh se hasrat hai uTThe bhī dhuāñ to kyā huā
hum ne likhi hai lahu se dastan to kya hua
is pe hairan gar nahin kaun-o-makan to kya hua
sath baba ke khilaune lene ghar se tha chala
koi eazaz-e-yatimi jo de wan to kya hua
log kahte the ki aise gham mein ye bhi rote hain
jo nahin roe zamin-o-asman to kya hua
mere baba meri amman meri aapi ke siwa
hai mila insaf bhi mujh ko yahan to kya hua
chashm-e-girya ashkon ka sailab to ab tham chuka
baad phir hain lekin ab dariya rawan to kya hua
ek zamana tha ki bol uThte the aksar be-zaban
bolne qabil nahin ahl-e-zaban to kya hua
meri duniya mein lagi jo aag to sab jal gaya
rakh se hasrat hai uTThe bhi dhuan to kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.