humne lutf-e-bahaar dekha hai
ham ne lutf-e-bahār dekhā hai
apnī āñkhoñ meñ ḳhaar dekhā hai
ye kinārā nahīñ mirī manzil
kar ke dariyā bhī paar dekhā hai
luuT kar koī aa rahā hogā
maiñ ne gard-o-ġhubār dekhā hai
aañkh uThtī nahīñ nazāre se
is liye baar baar dekhā hai
hum ne lutf-e-bahaar dekha hai
apni aankhon mein KHar dekha hai
ye kinara nahin meri manzil
kar ke dariya bhi par dekha hai
luT kar koi aa raha hoga
main ne gard-o-ghubar dekha hai
aankh uThti nahin nazare se
is liye bar bar dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.