humne mana ki shikasta hai kinara phir bhi
humne mana ki shikasta hai kinara phir bhi
Waseem Hassan Mirchal
MORE BYWaseem Hassan Mirchal
ham ne maanā ki shikasta hai kināra phir bhī
koī dikhlā.e hameñ qutb-sitāra phir bhī
husn par naaz kī tasvīr kahāñ thī mumkin
ham ne kāġhaz pe sitāroñ ko utārā phir bhī
ḳhat bhī likhvā.e pe iz.hār ko kaafī na hue
ham ne ashkoñ se har ik lafz ubhārā phir bhī
aao do gaam sahī saath nibhā.eñ 'sāġhar'
kaun hotā hai bhalā kis kā sahārā phir bhī
hum ne mana ki shikasta hai kinara phir bhi
koi dikhlae hamein qutb-sitara phir bhi
husn par naz ki taswir kahan thi mumkin
hum ne kaghaz pe sitaron ko utara phir bhi
KHat bhi likhwae pe izhaar ko kafi na hue
hum ne ashkon se har ek lafz ubhaara phir bhi
aao do gam sahi sath nibhaen 'saghar'
kaun hota hai bhala kis ka sahaara phir bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.