humne mana ki taghaful teri aadat hai zarur
humne mana ki taghaful teri aadat hai zarur
Tameezuddin Tameez Dehlvi
MORE BYTameezuddin Tameez Dehlvi
ham ne maanā ki taġhāful terī 'ādat hai zarūr
terī uftād meñ shoḳhī-o-sharārat hai zarūr
yuuñ to us ne kiyā iz.hār-e-nadāmat hai zarūr
aisā lagtā hai koī is meñ sharārat hai zarūr
ġhair se sun ke mirā haal ta.assuf se kahā
jo ye sach hai to burī chiiz mohabbat hai zarūr
vāqi'a ye hai ki insān hai majbūr mahz
sāneha ye hai ki muḳhtār kahāvat hai zarūr
bāda-ḳhvāroñ meñ koī baat to hai ai saaqī
un ke dam se tire maiḳhāne kī zīnat hai zarūr
hum ne mana ki taghaful teri 'adat hai zarur
teri uftad mein shoKHi-o-shararat hai zarur
yun to us ne kiya izhaar-e-nadamat hai zarur
aisa lagta hai koi is mein shararat hai zarur
ghair se sun ke mera haal tassuf se kaha
jo ye sach hai to buri chiz mohabbat hai zarur
waqi'a ye hai ki insan hai majbur mahz
saneha ye hai ki muKHtar kahawat hai zarur
baada-KHwaron mein koi baat to hai ai saqi
un ke dam se tere maiKHane ki zinat hai zarur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.