humne nazdik bhulane ka bhi fan rakkha tha
humne nazdik bhulane ka bhi fan rakkha tha
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
ham ne nazdīk bhulāne kā bhī fan rakkhā thā
hijr meñ dil ko bhī kuchh mast-magan rakkhā thā
ye bhī sach hai ki tujhe dil se ġharaz thī hī nahīñ
varna to jism meñ paivast hī man rakkhā thā
kab baġhāvat pe utar aa.e yahāñ kaun sā phuul
bas yahī soch ke qaabū meñ chaman rakkhā thā
jāntā kaise tujhe jhāñktā andar kaise
tujh ko ta.avīz ke jaise to pahan rakkhā thā
jab nakīrain ne chāhā ki mujhe le jaa.eñ
ruuh ġhā.eb thī kahīñ aur badan rakkhā thā
jis ko ab pyaar se jiine kā sabab kahte haiñ
ham ne us yaad kā ik naam ghuTan rakkhā thā
ham ka.ī qism ke lahjoñ ke bahut qaa.il haiñ
haañ magar apnā jo andāz-e-suḳhan rakkhā hai
hum ne nazdik bhulane ka bhi fan rakkha tha
hijr mein dil ko bhi kuchh mast-magan rakkha tha
ye bhi sach hai ki tujhe dil se gharaz thi hi nahin
warna to jism mein paiwast hi man rakkha tha
kab baghawat pe utar aae yahan kaun sa phul
bas yahi soch ke qabu mein chaman rakkha tha
jaanta kaise tujhe jhankta andar kaise
tujh ko tawiz ke jaise to pahan rakkha tha
jab nakirain ne chaha ki mujhe le jaen
ruh ghaeb thi kahin aur badan rakkha tha
jis ko ab pyar se jine ka sabab kahte hain
hum ne us yaad ka ek nam ghuTan rakkha tha
hum kai qism ke lahjon ke bahut qail hain
han magar apna jo andaz-e-suKHan rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.