humne qissa bahut kaha dil ka
ham ne qissa bahut kahā dil kā
na sunā tum ne mājrā dil kā
apne matlab kī sab hī kahte haiñ
hai nahīñ koī āshnā dil kā
ishq meñ aisī khīñchī rusvā.ī
ho gayā shor jā bajā dil kā
is qadar be-havās rahtā hai
jaise kuchh koī le gayā dil kā
ek bose pe bechte the ham
tū ne saudā na kuchh kiyā dil kā
tere milne se fā.eda kyā hai
na ho hāsil jo mudda.ā dil kā
kyuuñ diyā 'āsif' us sitamgar ko
aap tū mudda.ī huā dil kā
hum ne qissa bahut kaha dil ka
na suna tum ne majra dil ka
apne matlab ki sab hi kahte hain
hai nahin koi aashna dil ka
ishq mein aisi khinchi ruswai
ho gaya shor ja baja dil ka
is qadar be-hawas rahta hai
jaise kuchh koi le gaya dil ka
ek bose pe bechte the hum
tu ne sauda na kuchh kiya dil ka
tere milne se faeda kya hai
na ho hasil jo muddaa dil ka
kyun diya 'asif' us sitamgar ko
aap tu muddai hua dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.