humne sab dariya yahan payab dekhe
ham ne sab dariyā yahāñ pāyāb dekhe
ek arsa ho gayā sailāb dekhe
iiñT saarī lag ga.ī buniyād meñ jab
phir kahāñ se ab koī mehrāb dekhe
din ko ta.abīroñ meñ hī uljhe rahe haiñ
raat meñ ham ne bhī kaise ḳhvāb dekhe
us samundar meñ utarnā chāhiye ab
kaun sāhil par khaḌā girdāb dekhe
maiñ bhī 'sāqib' dil-girafta ho gayā huuñ
jab se un kī bazm ke ādāb dekhe
hum ne sab dariya yahan payab dekhe
ek arsa ho gaya sailab dekhe
inT sari lag gai buniyaad mein jab
phir kahan se ab koi mehrab dekhe
din ko tabiron mein hi uljhe rahe hain
raat mein hum ne bhi kaise KHwab dekhe
us samundar mein utarna chahiye ab
kaun sahil par khaDa girdab dekhe
main bhi 'saqib' dil-girafta ho gaya hun
jab se un ki bazm ke aadab dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.