humne socha tha bahaaron mein khulega gulshan
ham ne sochā thā bahāroñ meñ khulegā gulshan
zindagānī kī kaḌī dhuup hai āñgan āñgan
phuul murjhā.e haiñ muñh-band haiñ saarī kaliyāñ
ḳhālī ḳhālī hai yahāñ aaj bhī dāman dāman
kitnā rū-kash thā ye sapnoñ kā hasīn tāj-mahal
niiñd TuuTī hai to dhundlāyā hai darpan darpan
kitne bebāk irādoñ se uThā.e the qadam
kitnā afsurda sā hai aaj bahāroñ kā chalan
vaqt ke saath badalte hue chehre dekhe
jaise uThtī ga.ī har chehre se chilman chilman
hum ne socha tha bahaaron mein khulega gulshan
zindagani ki kaDi dhup hai aangan aangan
phul murjhae hain munh-band hain sari kaliyan
KHali KHali hai yahan aaj bhi daman daman
kitna ru-kash tha ye sapnon ka hasin taj-mahal
nind TuTi hai to dhundlaya hai darpan darpan
kitne bebak iradon se uThae the qadam
kitna afsurda sa hai aaj bahaaron ka chalan
waqt ke sath badalte hue chehre dekhe
jaise uThti gai har chehre se chilman chilman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.