humne tere firaq mein tark-e-wafa nahin kiya
ham ne tire firāq meñ tark-e-vafā nahīñ kiyā
tū ne vafā nahīñ kiyā ham ne jafā nahīñ kiyā
apnoñ kī be-dilī sahī sab meñ hue haiñ ḳhvār ham
varna zarā batāo dil kis kā bhalā nahīñ kiyā
tum ne kisī se ishq kī kahte haiñ ham-navā sabhī
un se hai kaisā vāsta ham ne kiyā nahīñ kiyā
saarī hadoñ ko toḌ kar us ne kiye ka.ī sitam
ham ne bhī had ko toḌ dī ik bhī gila nahīñ kiyā
ġhalatī jo ek ho ga.ī chhoḌ ke vo mujhe ga.ī
kitnoñ ko ab vo chhoḌegī kis ne ḳhatā nahīñ kiyā
tum ne tamām pyaar kā mujh ko hisāb de diyā
tum ne mujhe burā kahā tum ne burā nahīñ kiyā
hum ne tere firaq mein tark-e-wafa nahin kiya
tu ne wafa nahin kiya hum ne jafa nahin kiya
apnon ki be-dili sahi sab mein hue hain KHwar hum
warna zara batao dil kis ka bhala nahin kiya
tum ne kisi se ishq ki kahte hain ham-nawa sabhi
un se hai kaisa wasta hum ne kiya nahin kiya
sari hadon ko toD kar us ne kiye kai sitam
hum ne bhi had ko toD di ek bhi gila nahin kiya
ghalati jo ek ho gai chhoD ke wo mujhe gai
kitnon ko ab wo chhoDegi kis ne KHata nahin kiya
tum ne tamam pyar ka mujh ko hisab de diya
tum ne mujhe bura kaha tum ne bura nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.