humne to kal raat ka manzar kasila kar diya
ham ne to kal raat kā manzar kasīlā kar diyā
āsmāñ pe hijr likh kar chāñd piilā kar diyā
zahr amrit meñ milā kar kaisā hiila kar diyā
titliyoñ ne chuum kar phūloñ ko niilā kar diyā
lagtā hai is shahr pe us kī vafā kā qarz thā
vaqt-e-ruḳhsat us ne āvāzoñ ko giilā kar diyā
ishq terī ḳhair ho ab ḳhair ho bas ḳhair ho
tū ne is dil ke muqābil ik qabīla kar diyā
ham to dekh aa.e haiñ tum bhī dekho sohbat kā asar
kāñToñ ne phūloñ ke jismoñ ko nukīlā kar diyā
raat kal pākīzgī pe sher kahnā thā magar
us kī yādoñ ne taḳhayyul ko nashīlā kar diyā
chaar din baad us kī bhī bātoñ meñ narmī aa ga.ī
ham ne bhī kuchh apne lahje ko lachīlā kar diyā
haañ ye 'dilbar' pe baḌā ehsān hai terā ġhazal
tū ne mar ke zinda rahne kā vasīla kar diyā
hum ne to kal raat ka manzar kasila kar diya
aasman pe hijr likh kar chand pila kar diya
zahr amrit mein mila kar kaisa hila kar diya
titliyon ne chum kar phulon ko nila kar diya
lagta hai is shahr pe us ki wafa ka qarz tha
waqt-e-ruKHsat us ne aawazon ko gila kar diya
ishq teri KHair ho ab KHair ho bas KHair ho
tu ne is dil ke muqabil ek qabila kar diya
hum to dekh aae hain tum bhi dekho sohbat ka asar
kanTon ne phulon ke jismon ko nukila kar diya
raat kal pakizgi pe sher kahna tha magar
us ki yaadon ne taKHayyul ko nashila kar diya
chaar din baad us ki bhi baaton mein narmi aa gai
hum ne bhi kuchh apne lahje ko lachila kar diya
han ye 'dilbar' pe baDa ehsan hai tera ghazal
tu ne mar ke zinda rahne ka wasila kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.