humne to KHak bhi dekha na asar rone mein
ham ne to ḳhaak bhī dekhā na asar rone meñ
umr kyuuñ khote ho ai dīda-e-tar rone meñ
raat kab aa.e tum aur kab ga.e ma.alūm nahīñ
jaan itnī na rahī ham ko ḳhabar rone meñ
jab talak ashk thameñ baiTh agar aayā hai
terī sūrat nahīñ aatī hai nazar rone meñ
tujh ko ai dīda-e-tar shaġhl hai ronā lekin
Duubā jaatā hai yahāñ dil kā nagar rone meñ
ālam-e-ishq meñ majnūñ bhī baḌā gāḌhā thā
yaar majnūñ se bhī ham gaaḌe haiñ par rone meñ
hum ne to KHak bhi dekha na asar rone mein
umr kyun khote ho ai dida-e-tar rone mein
raat kab aae tum aur kab gae malum nahin
jaan itni na rahi hum ko KHabar rone mein
jab talak ashk thamen baiTh agar aaya hai
teri surat nahin aati hai nazar rone mein
tujh ko ai dida-e-tar shaghl hai rona lekin
Duba jata hai yahan dil ka nagar rone mein
aalam-e-ishq mein majnun bhi baDa gaDha tha
yar majnun se bhi hum gaDe hain par rone mein
- Book : Noquush (Pg. B-413 E-423)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.