humne to ujaD aur basti dekhi
ham ne to ujaaḌ aur bastī dekhī
duniyā kī sabhī buland aur pastī dekhī
sūrat pe ḳhayāl apnī aayā jis dam
yak lahza habāb-vār pastī dekhī
kitnoñ ke ma.āsh kī durustī dekhī
kitnoñ kī ba-ḳhāna fāqa-mastī dekhī
duniyā hai basān qahba ḳhush-dil ġhamgīñ
rotī hai kabhī kabhī to hañstī dekhī
jis dast kī maiñ darāz-dastī dekhī
is dast kī āḳhirash shikastī dekhī
jis ne bastam kiyā makāñ ko ta.amīr
dīvār phir us makāñ kī khisaktī dekhī
bā-vasf ayaañ hai lek ba.azī ḳhilqat
is shoḳh kī diid ko tarastī dekhī
ye turfa hai mājrā ki ka.aba-e-dil meñ
'āfrīdī' kī ham ne but-parastī dekhī
hum ne to ujaD aur basti dekhi
duniya ki sabhi buland aur pasti dekhi
surat pe KHayal apni aaya jis dam
yak lahza habab-war pasti dekhi
kitnon ke maash ki durusti dekhi
kitnon ki ba-KHana faqa-masti dekhi
duniya hai basan qahba KHush-dil ghamgin
roti hai kabhi kabhi to hansti dekhi
jis dast ki main daraaz-dasti dekhi
is dast ki aaKHirash shikasti dekhi
jis ne bastam kiya makan ko tamir
diwar phir us makan ki khisakti dekhi
ba-wasf ayan hai lek bazi KHilqat
is shoKH ki did ko tarasti dekhi
ye turfa hai majra ki kaba-e-dil mein
'afridi' ki hum ne but-parasti dekhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.