humne to us se bhi nibha li hai
ham ne to us se bhī nibhā lī hai
dil mohabbat se jis kā ḳhālī hai
ab to aa jā ai dhuup khiḌkī par
barf āñkhoñ meñ jamne vaalī hai
chhāñv bhī ab sukūñ nahīñ detī
jism ne itnī dhuup khā lī hai
kuchh banāne kī phir zarūrat kyā
us kī tasvīr jab banā lī hai
ḳhatm jhagḌā nahīñ huā ghar kā
jab ki dīvār bhī uThā lī hai
jis pe chāhat ke phuul khilte the
tum ne vo shāḳh kaaT Daalī hai
hum ne to us se bhi nibha li hai
dil mohabbat se jis ka KHali hai
ab to aa ja ai dhup khiDki par
barf aankhon mein jamne wali hai
chhanw bhi ab sukun nahin deti
jism ne itni dhup kha li hai
kuchh banane ki phir zarurat kya
us ki taswir jab bana li hai
KHatm jhagDa nahin hua ghar ka
jab ki diwar bhi uTha li hai
jis pe chahat ke phul khilte the
tum ne wo shaKH kaT Dali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.