humne us shaKHs ko mayusi ka paikar jaana
ham ne us shaḳhs ko māyūsī kā paikar jaanā
jis ne hālāt kī gardish ko muqaddar jaanā
mere har sher se mahzūz huī hai duniyā
mere har zaḳhm ko duniyā ne gul-e-tar jaanā
tajribe kaun sī manzil pe mujhe le aa.e
mere ehsās ne har phuul ko patthar jaanā
us se pūchho ki ġharīb-ul-vatanī kyā shai hai
jis ko mushkil ho vatan apne palaT kar jaanā
is liye ham ne chalāyā na kisī par patthar
sar kisī kā bhī ho apnā hī use sar jaanā
fahm-o-idrāk kī jab saarī hadeñ TuuT ga.iiñ
tishnagī ne mirī sahrā ko samundar jaanā
sirf ehsās hī dukh-sukh kā pata detā hai
ham ne phūloñ ko bhī angāroñ kā bistar jaanā
hum ne us shaKHs ko mayusi ka paikar jaana
jis ne haalat ki gardish ko muqaddar jaana
mere har sher se mahzuz hui hai duniya
mere har zaKHm ko duniya ne gul-e-tar jaana
tajribe kaun si manzil pe mujhe le aae
mere ehsas ne har phul ko patthar jaana
us se puchho ki gharib-ul-watani kya shai hai
jis ko mushkil ho watan apne palaT kar jaana
is liye hum ne chalaya na kisi par patthar
sar kisi ka bhi ho apna hi use sar jaana
fahm-o-idrak ki jab sari haden TuT gain
tishnagi ne meri sahra ko samundar jaana
sirf ehsas hi dukh-sukh ka pata deta hai
hum ne phulon ko bhi angaron ka bistar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.