humne us shoKH ki ranai qamat dekhi
ham ne us shoḳh kī ra.anā.ī qāmat dekhī
chaltī phirtī huī tasvīr-e-qayāmat dekhī
mohtasib jām-o-subū ghar meñ hamāre nikle
ham ne ye hazrat-e-zāhid kī karāmat dekhī
maiñ chalā dil kā janāza jo baġhal meñ le kar
bole maiñ ne yahī chaltī huī turbat dekhī
ham ga.e sū-e-adam tū na vahāñ se aayā
nāma-bar raah tirī tā-dam-e-rehlat dekhī
hai ye ta.abīr ki qad par tire āshiq hoñge
ḳhvāb meñ hazrat-e-zāhid ne qayāmat dekhī
aa ga.ī yaad mujhe vā.iz-o-nāseh kī 'vasīm'
zer-e-turbat jo nakīrain kī sūrat dekhī
hum ne us shoKH ki ranai qamat dekhi
chalti phirti hui taswir-e-qayamat dekhi
mohtasib jam-o-subu ghar mein hamare nikle
hum ne ye hazrat-e-zahid ki karamat dekhi
main chala dil ka janaza jo baghal mein le kar
bole main ne yahi chalti hui turbat dekhi
hum gae su-e-adam tu na wahan se aaya
nama-bar rah teri ta-dam-e-rehlat dekhi
hai ye tabir ki qad par tere aashiq honge
KHwab mein hazrat-e-zahid ne qayamat dekhi
aa gai yaad mujhe waiz-o-naseh ki 'wasim'
zer-e-turbat jo nakirain ki surat dekhi
- Book : Aqa-e-sukhan waseem Khairabadi hayat aur karname (Pg. 280)
- Author : Waseem Khairabadi
- Publication : Farid Bilgrami, Bilgrami Building Miyan Sarai Khairabad sitapur (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.