humne us zat se lau jab se lagai hui hai
ham ne us zaat se lau jab se lagā.ī huī hai
us kī tasvīr har ik shai meñ samā.ī huī hai
ab use tere sivā kaun bujhā saktā hai
tū ne ye aag jo siine meñ lagā.ī huī hai
kuchh to tārīkī muqaddar meñ milī hai us ko
kuchh ghaTā zulf se is shab ne churā.ī huī hai
gir ga.ī thī jo kisī roz mirī nazroñ se
dil ne ab tak vahī tasvīr uThā.ī huī hai
tere jalvoñ kī ḳhatā hai na adāoñ kā qusūr
dil meñ hasrat ye hamārī hī jagā.ī huī hai
ye jo gulshan meñ sabā phirtī hai itrā.ī huī
us kī ḳhushbū meñ bas ik baar nahā.ī huī hai
ruuh to qaid hai aur jism ko āzādī hai
kyā qayāmat kī hamārī ye rihā.ī huī hai
is meñ poshīda haiñ kuchh aur ma'ānī 'afzal'
dhund sī jo tire ash'ār pe chhā.ī huī hai
hum ne us zat se lau jab se lagai hui hai
us ki taswir har ek shai mein samai hui hai
ab use tere siwa kaun bujha sakta hai
tu ne ye aag jo sine mein lagai hui hai
kuchh to tariki muqaddar mein mili hai us ko
kuchh ghaTa zulf se is shab ne churai hui hai
gir gai thi jo kisi roz meri nazron se
dil ne ab tak wahi taswir uThai hui hai
tere jalwon ki KHata hai na adaon ka qusur
dil mein hasrat ye hamari hi jagai hui hai
ye jo gulshan mein saba phirti hai itrai hui
us ki KHushbu mein bas ek bar nahai hui hai
ruh to qaid hai aur jism ko aazadi hai
kya qayamat ki hamari ye rihai hui hai
is mein poshida hain kuchh aur ma'ani 'afzal'
dhund si jo tere ash'ar pe chhai hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.