humne yun KHud se tera zikr kiya sham ke baad
ham ne yuuñ ḳhud se tirā zikr kiyā shaam ke baa'd
jaise gulshan meñ chale sard havā shaam ke baad
mujh ko mai-ḳhvār samajhtī rahī shab-bhar duniyā
jab tire hijr kā mashrūb piyā shaam ke baa'd
jis kī yādoñ ko bhulāne meñ guzar jaatā hai din
lab pe aa jaatā hai vo misl-e-du’ā shaam ke baa'd
ashk āñkhoñ meñ liye roz tujhe DhūñDhtā hai
tere kūche meñ koī ābla-pā shaam ke baa'd
dil kī vahshat ke ye mausam bhī nirāle haiñ 'umair'
band kamre meñ barastī hai ghaTā shaam ke baa'd
hum ne yun KHud se tera zikr kiya sham ke ba'd
jaise gulshan mein chale sard hawa sham ke baad
mujh ko mai-KHwar samajhti rahi shab-bhar duniya
jab tere hijr ka mashrub piya sham ke ba'd
jis ki yaadon ko bhulane mein guzar jata hai din
lab pe aa jata hai wo misl-e-du’a sham ke ba'd
ashk aankhon mein liye roz tujhe DhunDhta hai
tere kuche mein koi aabla-pa sham ke ba'd
dil ki wahshat ke ye mausam bhi nirale hain 'umair'
band kamre mein barasti hai ghaTa sham ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.