humne yun parcham-e-mear uTha rakkha hai
humne yun parcham-e-mear uTha rakkha hai
Mohaamad tahseen Asrar
MORE BYMohaamad tahseen Asrar
ham ne yuuñ parcham-e-me.ār uThā rakkhā hai
kāġhazī phūloñ se ghar apnā sajā rakkhā hai
sab pe chhāyā huā hai ro.ab sitamgārī kā
dil meñ logoñ ne kahāñ ḳhauf-e-ḳhudā rakkhā hai
apnā haq māñgnā kyā jurm koī hai āḳhir
tum ne is baat pe kyoñ hashr uThā rakkhā hai
vo jo ġhāfil hai yahāñ jazba-e-hamdardī se
naam kyoñ us kā bhalā ahl-e-vafā rakkhā hai
maiñ tirā zulm nahīñ bhūlā magar tere liye
aaj bhī zehn kā darvāza khulā rakkhā hai
jāntā hai vo mirī izzat-o-tauqīr hai kyā
jis ne neze pe mire sar ko uThā rakkhā hai
tum ko ma.alūm hai kyā apnī haqīqat 'asrār'
ḳhud ko ā.īne se kyoñ tum ne bachā rakkhā hai
hum ne yun parcham-e-mear uTha rakkha hai
kaghazi phulon se ghar apna saja rakkha hai
sab pe chhaya hua hai roab sitamgari ka
dil mein logon ne kahan KHauf-e-KHuda rakkha hai
apna haq mangna kya jurm koi hai aaKHir
tum ne is baat pe kyon hashr uTha rakkha hai
wo jo ghafil hai yahan jazba-e-hamdardi se
nam kyon us ka bhala ahl-e-wafa rakkha hai
main tera zulm nahin bhula magar tere liye
aaj bhi zehn ka darwaza khula rakkha hai
jaanta hai wo meri izzat-o-tauqir hai kya
jis ne neze pe mere sar ko uTha rakkha hai
tum ko malum hai kya apni haqiqat 'asrar'
KHud ko aaine se kyon tum ne bacha rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.