hum par jachti KHub udasi
ham par jachtī ḳhuub udāsī
hai apnī mahbūb udāsī
tanhā marne se Dartā huuñ
saath meñ tū bhī Duub udāsī
ham donoñ meñ rabt hai itnā
maiñ tālib matlūb udāsī
haath thaam kar chaltī hai ye
mujh se hai mansūb udāsī
us kā chehra ḳhushiyoñ jaisā
aur merā uslūb udāsī
chaar Thikāne haiñ duniyā meñ
dukh tanhā.ī uub udāsī
hum par jachti KHub udasi
hai apni mahbub udasi
tanha marne se Darta hun
sath mein tu bhi Dub udasi
hum donon mein rabt hai itna
main talib matlub udasi
hath tham kar chalti hai ye
mujh se hai mansub udasi
us ka chehra KHushiyon jaisa
aur mera uslub udasi
chaar Thikane hain duniya mein
dukh tanhai ub udasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.