hum par jo hans raha tha wo roya hua sa hai
ham par jo hañs rahā thā vo royā huā sā hai
shāyad ki us ke saath bhī dhokā huā sā hai
kal tak ki jis ke naam se sajtī thiiñ mahfileñ
tanhā.iyoñ meñ aaj vo khoyā huā sā hai
badle badalte vaqt ne hālāt kyā mire
har shaḳhs kā mizāj hī badlā huā sā hai
mumkin agar ho koī nayā zaḳhm dījiye
jo zaḳhm bhī hai jaise purānā huā sā hai
hum par jo hans raha tha wo roya hua sa hai
shayad ki us ke sath bhi dhoka hua sa hai
kal tak ki jis ke nam se sajti thin mahfilen
tanhaiyon mein aaj wo khoya hua sa hai
badle badalte waqt ne haalat kya mere
har shaKHs ka mizaj hi badla hua sa hai
mumkin agar ho koi naya zaKHm dijiye
jo zaKHm bhi hai jaise purana hua sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.